Hazrat Syed Abdur Razzaq Gailani
Rahmatullah Alayh
Aap ki wiladat ba saadat 18 Ziqada 528 Hijri mein ba roz itwaar ko Baghdad shareef mein hui. Aap ka ism e graami Abdur Razzaq kuniat Abu al Farah aur Abdul Rahman Rahmatullah alayh hai. Aap ka laqab Taaj al Deen hai. AapHazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ke panchwin sahibzaday hain. Aap ki taleem o tarbiyat Hazrat Ghaus pak Syed Abdul Qadar Rahmatullah alayh ne ki. Unhi se Aap ko baet o khilafat ka azeem sharf bhi haasil tha .
Aaphafiz e Quran o Hadees they aur apni Ilmi jalalat ki bana par Iraq ke mufti they. Aapmein intahaa darja ki tawaza o inkisari thi. Aapsabar o shukar aur ikhlaq e husna mein mashhoor they. Zuhad o taqwa aap ka turah imtiaz tha. Ilm o fanoon ke daras o tadrees ke ilawa Aap apne waqt ke azeem manazair they. Talba se nihayat ans o mohabbat rakhtay they. Gharz Aap ki zaat e pak jame thi. Aap ki zaat se bohat se logon ko faiz pouncha aur kaseer tadaad mein log, aalam o fazil aur darwaish Aap ki sohbat se mustafeed hue .
Aap irshad farmatay hain kay aik din mein aur mere waalid Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh Jummay ki namaz parhnay ke liye bahar niklay rastay par dekha kay khalifa e waqt ke liye aik sipahi janwaron par sharaab lade hue ja raha hai. Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ko kashaf ke zariye maloom ho gaya kay un mein sharaab hai. Is liye sipahiyon ko aawaz di magar sipahiyon ne maaray khauf o nadamat ke rukna munasib nah samgha. Chunancha Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ne janwaron se mukhatib ho kar farmaya kay Khuda ke hukum se ruk jao. Janwar foran kharray ho gaye. Sipahiyon ne laakh koshish ki lekin janwar apni jagah se nah hille aur sipahiyon ko foran marz qolanj ne pakar liya jis ki wajah se woh tarpne lagey aur faryaad karne lagey kay hum aindah aisi harkat nahi karain gay. Aap ne dua farmai jis se marz qolanj daur ho gaya aur sharaab sirka mein tabdeel ho gayi. Jab yeh khabar khalifa e waqt ko pohanchi to woh bhi sharaab noshi se taib ho gaya .
''Behja tul Israr' ' mein Hazrat Abdul Razzaq Rahmatullah Alayh ke ishq e haqeeqi aur aala tareen maratab qarb e Elahi ke bayan mein Hazrat Abu Zerah Zahir bin Mohammad al Muqaddas ki aik rivayet mazkoor hai. Woh farmatay hain kay aik baar mein Hazrat Sheikh Abdul Qadar jilani Rahmatullah alayh ki majls e waaz mein haazir tha. Waaz ke douran aap Rahmatullah alayh ne farmaya' ' meri majlis mein aisay log bhi haazir hain jo Jab e Qaaf Quds ke paar rehtay hain aur jin ke qadam is waqt howa mein hain. Shidat-e shoq e Elahi se un ke jabe aur un ke saron par ishq e Elahi ke sultaani taaj jal rahay hain' '. Is waqt aap ke barray farzand Abdul Razzaq Rahmatullah alayh is majlis mein hazir thay aur Aap ki kursi e waaz ke bilkul paas hi Aap ke qadam mubarak ke qareeb hi baithy they. Jounhi Hazrat Abdul Qadar Jilani Rahmatullah alayh ne yeh kalaam farmaya Hazrat Abdul Razzaq Rahmatullah Alayh ne sar uttha kar aasman ki taraf dekha aur aik lehza yun hi aasman ki taraf tiktiki bandh kar dekhte rahay. Yahan taq kay aap Rahmatullah Alayh be hosh ho gaye aur Aap ke jabe aur dastaar mubarak ko aag lag gayi. Hazrat peer dastagir Rahmatullah alayh ne kuri e waaz se neechay utar kar apne hathon se aag bujha kar farmaya' ' ae Abdul Razzaq Rahmatullah alayh tum bhi un mein se hi ho' '. Abbu Zarah Rahmatullah alayh farmatay hain kay mjls e waaz khatam honay ke baad mein ne peer Abdul Razzaq Rahmatullah alayh se is muamlay ki haqeeqat aur un ki kefiyat ke mutaliq poocha to Aap ne farmaya kay jab mein ne aasman ki taraf dekha to mein ne fiza mein chand Rohani aur noorani logon ko dekha kay shoq e Elahi se un ke jube aur taaj shola baar hain aur woh hawa mein idher udher chakkar lagatay they aur raqas karte they aur dard o mohabbat se baadalon ki terhan garajte they. Un ke dekhnay se meri bhi wohi haalat ho gayi' ' .
Hazrat Syed Abdur Razzaq Rahmatullah alayh apne waqt ke qadir al kalam adeeb aur ansha pardaz they. Aap ki jumla tasaneef ka tazkara aksar tazkaron mein nahi milta. Sirf aik kitaab ka saboot tareekh se milta hai jis ka naam Jala ul Khwatar hai. Is mein Aap ne apne waalid Majid Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ke maloomat e zindagi aur malfoozat darj kiye hain .
Aap ke paanch sahibzaday aur doo sahbzadyan theen. Aap ke panchwin yani sab se chhootey sahibzaday jin ka naam Hazrat Syed jamal Ullah Rahmatullah alayh hai un ke baray mein kaha jata hai kay yeh ho ba ho Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ke mushaba they aur Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh apne is potay se be panah ulfat o mohabbat ka izhaar farmatay they aur qalbi mohabbat rakhtay they. Is liye ne Aap ko darazi e umar ki dua farmai. Kehte hain kay Hazrat Syed Jamal Ullah Rahmatullah alayh aaj bhi zindah hain aur hayaat ul Ameer ke naam se mashhoor hain .
Aap ke be shumaar Khulfa they. Chand mashhoor Khulfa ke ism e graami yeh hain. Hazrat Sharf al Deen Rahmatullah alayh , Hazrat Syed Abu Saleh Rahmatullah alayh aur Hazrat Syed Sheikh jamal Ullah Rahmatullah alayh .
Hazrat Syed Abdur Razzaq Rahmatullah alayh 6 Shawaal al Mukram 623 Hijri ko is dar e fani se rukhsat hue. Jab Aap ki namaz e janaza ka elaan howa to kehte hain kay logon ka is qader hajhoom ho gaya kay saaray log janazay mein shareek nah ho saktay they is liye pehli baar Aap ki namaz e janaza Eidgah mein Baghdad shehar ke bahar hui. Doosri baar jame Rasafa teesri baar Turbatul Khulfa chothi baar dareaye Dajla ke kinare Khazeen ke paas panchwin baar babaye Tahrim mein chhutti baar jabriya mein aur satwein baar Hazrat Imam Ahmed bin Hanbal ke maqbarah ke paas hui .
Aapka mazaar Aqdes Hazrat Imam Ahmed bin Hanbal Rahmatullah alayh ke maqbarah Baghdad shareef mein dareaye Dajla ke kinare tha. Dareaye Dajla ki tughyani aur katao ki wajah se ab yeh dono mazaar napaid ho chukay hain. Jis waqt Dara Shikoh ne Safeena tul Aulia likhi is waqt Aap ka mazaar theek haalat mein tha aur is ka tazkara Dara Shikoh ne in alfaaz mein kya hai kay Aap ka mazaar shareef Baghdad mein hai .